Friday, 29 April 2011

Maut Ki God Me Main Sota Raha

Gamon Ka Bojh Main Dhota Raha,
Raat Bhar Bas Yunhi Rota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Na Kabhi Aayi Khushi Ki Bahar,
Na Mila Mujhe Mera Wo Pyar.
Apne Daaman Ko Sukha-Sukha Ke,
Aansuon Se Use Bhigota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Dard Bhi Ab Mera Deewana Hai,
Apna To Bas Gamn Ka KhaZana Hai.
Main To Hoon Bas Wo “ghayal”,
Jo Khud Ko Kaante Chubhota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Tujhse Jo Hui Meri Judaai,
Zakhmon Se Kar Li Maine Sagai.
Jab Aaye Tu Yaad,Khud Ko Main,
Lahoo Ke Sharab Me Dubota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Teri Yaad Se Khud Ko Sajaya Hai,
Zakhm Bana Ka Unhe Khud Ko Jalaya Hai.
Apne Ishq Ko Namak Bana,
Un Zakhmon Pe Main Sada Bota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Badhta Raha Main Safar Dar Safar,
Barpa Mujhe Par Bas Sirf Kahar.
Lakh Marham Lagaye Maine,
Par Dard Beshumaar Yunhi Hota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Mujhe Dekh,Aaj Khuda Ne Ask Baha Diye,
Kaha,Aur Kya Dun,Sare Gum Tujhe Suna Diye.
Jitni Kosish Ki Tujhe Bhulane Ki,
Utna Hi Tujhme Main Khota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Jeevan Me Chaya Sirf Andhera Raha,
Na Main Tera Raha,Na Tu Mera Raha.
Raat Bhar,Ek-Duje Ko Yaad Kar Ka,
Tu Bhi Rota Raha,Main Bhi Rota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

No comments:

Post a Comment