Friday, 15 April 2011

Ajab Pagal Si Larki Hai `~!~`

Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay her khat main likhti hai
“Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN?”
meri baatain satati hain
meri neendain jagati hain
meri aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho?
kisi khamosh rustay se
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoN main
tum abb bhi chhatt pe jaatay ho?
falak ke sab sitarooN ko
meri baatain sunatay ho?
kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai?
Ajab pagal Si larki hai
mujhay her khat main likhti hai..
Jawaban ous ko likhta hooN..
meri masroofiyat daikho subah se shaam office main
chiragh-i-umer jalta hai
phir ous k baad duniya kee
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai
farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal si lerki ho
meri masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
“tumhain main yaad aati hooN ?”
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?

No comments:

Post a Comment