Friday, 29 April 2011

Sirf ik baar nazron se nazren milen

Sabko maloom hai main sharabi nahin
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon

Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon

Mujho maikash samajhte hain sub badakash
Kyunki unki tarah ladkadhata hoon main

Meri rag rag mein nasha mohabbat ka hai
Jo samajh mein na aaye to main kya karoon

Haal sunkar mera sehme sehme hain vo
Koi aaya hai zulfen bikhere hue

Maut aur zindagi dono hairaan hain
Dum nikelne na paaye to main kya karoon

Kaisi lat, kaisi chahat, kahan ki khata
Bekhudi mein hai Anwar khudi ka nasah

Zindagi ek nashe ke siva kuch nahin
Tumko peena na aaye to main kya karoon

Ek haseen khwaab

Kal raat ek haseen khwaab maine dekha
zindagi aur maut ko apne samne dekha,
Zindagi ne kha mai haseen hoon
aur maut ne kha mai nazneen hoon,
ke jau mai kiske paas
khud ko ajeeb ronak-e-mehfil mai dekha,

Kya ajeeb ittefaak tha
preshani mai Dil-e-khaak tha,
Samaj na saka mai kuch
k Dil ko verani si hasrat mai dekha,
Kal raat ek haseen khwaab maine dekha
Zindagi aur maut ko apne samne dekha

Zindagi ek unsulji pehali,toh maut ek ruthi sehali lagi,
pehali ko bhi suljane,Toh sehali ko bhi manane mann karta hai,
Kasmekas mai dimag tha ki
Khud ko ek bhulbhuliya mai ghirte dekha,
Kal raat ek haseen khwaab maine dekha
Zindagi aur maut ko apne samne dekha

Zindagi ne kha gale laga le ,aur maut ne kha aaghos mai bhar le,
Socha Zindagi kahin ghutan aur maut kahin chubann na ban jaye
Ajeeb bechanni mai tha Dil ki ,,
Khud ko bheed mai bhi tanha dekha,,
Kal raat ek haseen khwaab maine dekha
Zindagi aur maut ko apne samne dekha

Aage kya kahu  Dost phir neend khul gai meri,.,.
Aur Khud ko maine , Zindagi ki gehraiyo mai dekha ,.,.,
Haan ! kal raat ek haseen khwaab maine dekha
Zindagi aur maut ko apne rubaru dekha ,.,.,.

Maut Ki God Me Main Sota Raha

Gamon Ka Bojh Main Dhota Raha,
Raat Bhar Bas Yunhi Rota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Na Kabhi Aayi Khushi Ki Bahar,
Na Mila Mujhe Mera Wo Pyar.
Apne Daaman Ko Sukha-Sukha Ke,
Aansuon Se Use Bhigota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Dard Bhi Ab Mera Deewana Hai,
Apna To Bas Gamn Ka KhaZana Hai.
Main To Hoon Bas Wo “ghayal”,
Jo Khud Ko Kaante Chubhota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Tujhse Jo Hui Meri Judaai,
Zakhmon Se Kar Li Maine Sagai.
Jab Aaye Tu Yaad,Khud Ko Main,
Lahoo Ke Sharab Me Dubota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Teri Yaad Se Khud Ko Sajaya Hai,
Zakhm Bana Ka Unhe Khud Ko Jalaya Hai.
Apne Ishq Ko Namak Bana,
Un Zakhmon Pe Main Sada Bota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Badhta Raha Main Safar Dar Safar,
Barpa Mujhe Par Bas Sirf Kahar.
Lakh Marham Lagaye Maine,
Par Dard Beshumaar Yunhi Hota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Mujhe Dekh,Aaj Khuda Ne Ask Baha Diye,
Kaha,Aur Kya Dun,Sare Gum Tujhe Suna Diye.
Jitni Kosish Ki Tujhe Bhulane Ki,
Utna Hi Tujhme Main Khota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Jeevan Me Chaya Sirf Andhera Raha,
Na Main Tera Raha,Na Tu Mera Raha.
Raat Bhar,Ek-Duje Ko Yaad Kar Ka,
Tu Bhi Rota Raha,Main Bhi Rota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Mera Dill Ki Duniya Mai AA Kar To Dehko

Mera Dill Ki Duniya Mai AA Kar To Dehko
Tumhain Zindagi Ki Haqeeqat Mila Gee

Zara Apni Ankhen Jhuka Kar To Dehko
In Aankhon Mai Tum Ko Mouhbaat Mila Gee

Tumhein naaz Husn O Aada Per Hai Lekin
Humen Naaz Apni Wafa Per Bhot Hai

Milen Gay Hazroon Zamana Mai Tum Ko
Na Yeh Chataon Ki Aanyat Mila Gee

Bara Shok Sa Tum Inhen Aazmoo
Nikalen Ga Matalb Ya Pher Chor Dean GaY

Badlta Hain Chehra Ya Har Aan Per Hi
Yahan Aisa Logon Ki Qasrat Mila Gee

Gawara Nahi Hai Agar Mere Sourat
Duwa Hai Tumhen Mai Nazar Hi Na Aaon

Chala Jaon Ga Mai Tumhari Yaad La Kar
Kahan Piyar Ki Tum Ko Doulat Mila Gee

Tumheian Apna Dill Mai Basya Hai Mai Na
Khata Hai Ya Mere Ya Hi Juram Mera

Jo Chaha Moubaat Ki Ab Tum Saza Do
Bhout Mujah Ko Is Mai Bhi Rahat Mila Gee

Gham-e-Zindagi Ka Zehar Pee Kar SHAHID
Woh Jiss Ka Liya Aaj Hum Maar Raha Hain

Bara Khuff Tha Mere Qurbat Sa Jin Ko
Mere Mout Sa Un Ko Shohrat Mila Gee

Suno aay chand c larki

Suno aay chand c larki
Abhi tum titliyaan pakro

Ya phir Guriyon sy khelo tum
Ya phr masoom c Aankhon sy
dheron khwab daikho tum

Faraz-o-Faiz-o-Mohsin,
ki kitaben mat abhi prhna
Ye sb lafzon k sahir hein.

Tumhein uljha k rakh dein gy
Tumhein Maloom he kab hai

Mohabat k libady mein..
Hawas aur Hirs hoti hai

Ye insanon ki dunya hai.
Magr in sy kaheen barh kr
yahan wehshi drinday hein`

Wo wehshi jin ki Aankhon me
Machalty piyar k peechy.

Hawas aur Hirs hoti hai`
Abhi kachi kalii ho tum

Abhi kaanton sy mat khelo
Abhi apni Hatheli par

Kisi ka Naam mat likho
Abhi apni kitabon mein

gulaabi phool mat rako
Abhi Sheron Main Mat Oljho

Abhi to Omr Baki Hay
Abhi Khud Ko Smbhalo tum

Abhi mat Gungunao Tum
Abi Sy Ishq Mat Socho

Abi Sub Bhool jao tum...
Suno A Chaand Si larki

Ghazlon me tere pyaar kar Charcha na karen gay

Ghazlon me tere pyaar kar Charcha na karen gay
Hum tujh ko sar-e-aam yun ruswa na karen gay

Q hum pe uthein sang-e-mlamat ki faseelen
Behtar he tere sheher me aya na karen gay

Ye Chand , ye Tarey, ye haseen raat ka alam
Mansoob tere naam se kia na karen gay

Weeran hue Qasr-e-tmanna k dareeche
Aabad kabhi pyar ki dunya na karein gay

har cheez ki bahutat me nuqsan bohat hai
Shiddat se kisi shaks ko chaha na karein gay...

Sardiyon ki shamein

Sardiyon ki shamein bhi kia ajab shamein hain,
Log yaad atay hain aag si lagaty hain,

Dil k her ik koney main zindgi k manzer main,
Doob k ubherty hain ik dafa jo bichary thy,

Roz roz milty hain or mairi ankhon ko,
De k kuch naye motti phir se lot jaty hain,

Phir hum akailey main aansuon k railey main,
Sardiyon ki thandak main tanha apny shaney pe,

Apni shaal sambhaly ghar ko lot atay hain,
Sardiyon ki shamein Bhi kia ajab shamein hain.

Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum

Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum,
Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum,

Na koi rishta hay tum se na koi talluk,
phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum,

Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se,
Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum,

Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay,
Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum.

Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki,
Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum.

Kaisay kahon k apna bana lo mujhey

Kaisay kahon k apna bana lo mujhey,
Bahoun main apni sama lo mujhey,

Bin tumharay ek pal bhi kat-ta nahin,
Tum aa ker mujh se chura lo mujhey,

Zindagi to wo hai sang tumharay jo guzray,
Duniya k ghamoun se ab chura lo mujhey,

Mere sab se gehri Khuwahish ho puri,
Tum agar pas apnay bula lo mujhey,

Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai,
Tumhara hon main tu phir sanbhalo mujhey,

Najanay phir kaisay guzray gi Zindagani,
Agar apnay dil se kabhi tum nikalo mujhey.

Friday, 15 April 2011

Koi Chupka Chupka Kehta Hai

Koi Chupka Chupka Kehta Hai

Koi Geet Likho Mere Aankhon Per

Koi Shair Kaho Mera Lafzoon Per

In Khushboo Jaise Baton Per

Chup Chap Mai Sunta Rehta Hon

Pher Un JHeel Si Gheeri Aankhon Per

Aik Taza Ghazal Likh Deata Hon

Un Phool see Jaise Baton Per

Aik Shair Naya keh Deata Hon

Ya Geet Ghazal Yeh Shair Mera

Sab Us ka Payar ka Darpan Hain

Sab Us ka Roop Ka Darshan Hain

Sab us ki Aankh Ka Kajal Hai

Tanha Mujha Karta Hai Aur Mehfil Bhi Sajata Hai

Tanha Mujha Karta Hai Aur Mehfil Bhi Sajata Hai
Duniya Sa Alag Kar Ka Aik Duniya Basata Hai

Hai Dill Mai Nehan Lekin Aankhoon Sa Ayaan Ho Kar
Woh  Apna Pata Sari Duniya Ko Batata Hai

Dill Mera Duhknana Ka Pocho Na sabab Kia Hai
Mai Yaad Rakhon Us Ko Ya Yaad Dilata Hai

Bondon ki Usa Rim Jhim Is Darjha Lubhati Hai
Ruk Jaye Agar Barish Wo Mujh KO Rulata Hai

Kia Pochta Ho Us Sa Barbaad Howa Kiyn kar
Apnon Ka Diya Dukh Hain Khud Sa Bhi Chupata Hai

Mjhe ab b Mohabat hai.....!!!!!!!!!

Mjhe ab b Mohabat hai..
tere qadmon ki AAHAT se,

teri hr MUSKRAHAT se,
teri baton ki KHUSHBU se,

teri aankhon k JAADU se,
teri Dilkash ADAAON se,

teri qatil JAFAON se,
Mujhe ab b MOHABAT hai..

teri RAAHON men rukne se,
teri PALKON k jhukne se,

sehr-o-shaam hathon pe,
tera hi NAAM likhne se,

tere TESH o ADAWAT se,
teri be-jaa SHIKAYAT se,

yahan tak k SANAM mere.!
teri har ek AADAT se,

MUJHE AB BHI MOHABAT HAI..

Hawa Jab geet gati hai Mere AAnsu Nahn Rukte!!!!

Hawa Jab geet gati hai Mere AAnsu Nahn Rukte
Tumhari Jab yaad AAti hai Mere aansu NaHn Rukte

Main khush hota hun paani main baha ker kaghazi kashti
Magar jab doob jati hai mere aansu nahn rukte

Main din bhar khauf rswai ka kitna zabt kerta hun
Magar jab raat chati hai mere aansu nahn rukte.

Kabhi jab sard shamun main mere kamre ki tanhai
Tumhain wapas bulati hai mere aansu nahn rukte…

Kash main keh sakoon kabhi tum se!!!!!

Kash main keh sakoon kabhi tum se
Dil ki har bat ankahi tum se

Kash main keh sakoon kabhi ye bhi
bari mushkil hai dil lagi tum se

Kash ke main keh sakoon ke tum kya ho
Hai mere dil main chandni tum se

Kash main keh sakoon kabhi ke mujhe
Baat karni hai zaroori tum se

Kash ke ye bhi kabhi pooch sakoon
kaise hoti hai berukhi tum se

Kash wo waqt bhi ajaye ke ho
meri duniya main roshni tum se

Kash ye raz keh sakoon main kabhi
Hai Roshan meri shairi tum se

Kash lafzon main kabhi keh paoon
Mil ke hoti hai jo khushi tum se

Kash ye umr yoon guzar jaye
meri yadain rahain saji tum se

Suno tum lout aao na!!!!!!!!!!

Suno tum lout aao na
tumahri yaad aati hai

koi benaam sa ik durd
in aankhon ko rulaye to

ye dil jab bhi dharakta hai
tumhara naam leta hai

Sunoo … tumm lout aao na
Muhabbat ka koi Naghma

hawain jab bhi gaati hain
tumhain waaps bulati hain

ye dhalti shaam apne sung
udaasi gher laye to

muhabbt ka fasoon or tumhari yad ka mousam
mujhe bohat rulati hain

suno wapis palat aao
tumhain itna batana hai

tumhari yaad aati hai
Sunnooo tum lout aao na

Zara Khamosh Reh Kar Bhi Unhain Sab Kuch Bata Dena!!!!!!!

Zara Khamosh Reh Kar Bhi Unhain Sab Kuch Bata Dena
Zuban Se Kuch Na Kehna Dekh Kar Anson Baha Dena

Main Mujrim Ho Mujhe Iaqrar Hai Jurm-E-Muhabbat Ka
Magar Pehle Khata Par Ghor Karlo Phir Saza Dena

Ijazat Ho To Keh Doon Qissa-E-Ulfat Sar-E-Mehfil
Mujhe Kuch To Fasana Yad Hai Kuch Tum Suna Dena

Zara Khamosh Reh Kar Bhi Unhain Sab Kuch Bata Dena
Zuban Se Kuch Na Kehna Dekh Kar Anson Baha Dena

Ajab Pagal Si Larki Hai `~!~`

Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay her khat main likhti hai
“Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN?”
meri baatain satati hain
meri neendain jagati hain
meri aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho?
kisi khamosh rustay se
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoN main
tum abb bhi chhatt pe jaatay ho?
falak ke sab sitarooN ko
meri baatain sunatay ho?
kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai?
Ajab pagal Si larki hai
mujhay her khat main likhti hai..
Jawaban ous ko likhta hooN..
meri masroofiyat daikho subah se shaam office main
chiragh-i-umer jalta hai
phir ous k baad duniya kee
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai
farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal si lerki ho
meri masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
“tumhain main yaad aati hooN ?”
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?

Tum Pagal Ho Tum Pagal Ho!!!!

Tere ishq ney mera yeh haal kiya
mujhe apna tak na hosh raha

dekh k meri halat ab yeh
mujhe jo miley ab yeh kahey

tum pagal ho tum pagal ho
yeh duniya teri kaisi hai

sab log yahan niraley hain
merey tarapney pe yeh hanstey hain

or hans k mujhse kehtey hain
tujhey kis ki yaaad rulati hai

tum ku younhi taraptey ho
mai insey jab yeh kehta houn

koi or nahin yeh dil hai apna
jo mujhko you satata hai

mere tann mann mei aag lagata hai
de k mujhko ishq ki masti

pir din raat nachata hai
yeh sun k log pir hanstey hain

or hans k mujhko kehtey hain
tum pagal ho tum pagal ho

hur roz k apney milney pe
ik dost ney mujhsey yeh kaha

siyaney log yeh kehtey hain
qadar kho deta hai yeh roz ka ana jana

jab maine us sey yeh kaha
k mera taaluq to kuch aisa hai us se

jo namazi ka hai masjid sey
jo poojari ka hai mandir sey

jo bachey ka hai maktab sey
yeh sun ker usney bat meri

merey kandhey pe youn hath rakha
or thapki de k yeh kaha

tum pagal ho tum pagal ho
tum pagal ho tum pagal ho

Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka!!!!!!!

Mein Khayal Hoon Kisi Aur Ka
Mujhe Sochta Koi Aur Hai
Sar-E-Aeenah Mera Aks Hai
Pas-E-Aeenah Koi Aur Hai

Mein Kisi Keh Dast-E-Talab Mein Hoon
To Kisi Keh Harf-E-Dua Mein Hoon
Mein Naseeb Hoon Kisi Aur Ka
Mejhe Maangta Koi Aur Hai

Ajab Aitabar-O-Bey Aitabaree
Keh Darmayan Hai Zindagi
Mein Qareeb Hoon Kisi Aur Keh
Mujhe Jaanta Koi Aur Hai

Tujhey Dushmanon Ki Khabar Nahin
Mujhe Doston Ka Pata Nahin
Teri Daastan Koi Aur Thi
Mera Waaqaya Koi Aur Hai

Jo Milen Kabhi Unhen Poochna
Dekhna Unhen Ghaur Sey
Jinhen Raastey Mein Khabar Hui
Keh Yeh Raasta Koi Aur Hai

Jo Meri Reyazat-E-Neem Shab
Ko Saleem Subh Na Mil Saki
To Is Key Mani To Yeh Hue
Keh Yahan Khuda Koi Aur Hai

Monday, 11 April 2011

~``!``~!~``!``~!!!!!!____Suno____ !!!!!!!!!~``!``~!~``!``~

Ab Sanson Ki Amdorafat Dushwar Lagti Hai
Mohabaat Ki Zuban Sa Zindagi Bezar Lagti Hai

Wafa Ki Yaad Mai Her Ik Nigah Ashq Baar Lagti Hai
Ya Keasi Raat Hai Jo Ankhon Mai Bedaar Lagti Hai

Suno Ik Arzo Hai Dill Mai ik khuwahish See Hai Maan Mai
Kassh Ka Pori Ho Saka Dill Ki Arzo ko Dill Ki Dua Hai

Kiya Aisa Ho Nahi Sakta Is Andherri Raat Mai
Achanak Tum Chala Aao Aur Chandni Laut Aye

Meri Har Sans Achanak Tham ka Rawan Ho Jaye
Mohbaat Ki Zuban Khud Hi Zindagi ki Zuban Ho Jaye

Mohabbat Ki Yaad Main Rooti Nigah Be-Emman Ho Jaye
Guzarti Shab Achanak Mera Per Meharban Ho Jaye

Sunoo Kia Aisa Ho Sakta Hai Bato Na dill Bechan Hai
Suanoo Achannak Tum Chala Aao Na Kahin Sa Sunoo!!!!!!!

Saturday, 9 April 2011

Jab Tere Dhun Mai jiya karta Tha


Zindagiiiii


Naraz!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!


AAnsoun Ko Bahot Samjhaya!!!!!!!!!!!!!!!!


Mera Dill Ki Duniya Mai AA Kar To Dehko!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Mera Dill Ki Duniya Mai AA Kar To Dehko
Tumhain Zindagi Ki Haqeeqat Mila Gee

Zara Apni Ankhen Jhuka Kar To Dehko
In Aankhon Mai Tum Ko Mouhbaat Mila Gee

Tumhein naaz Husn O Aada Per Hai Lekin
Humen Naaz Apni Wafa Per Bhot Hai

Milen Gay Hazroon Zamana Mai Tum Ko
Na Yeh Chataon Ki Aanyat Mila Gee

Bara Shok Sa Tum Inhen Aazmoo
Nikalen Ga Matalb Ya Pher Chor Dean GaY

Badlta Hain Chehra Ya Har Aan Per Hi
Yahan Aisa Logon Ki Qasrat Mila Gee

Gawara Nahi Hai Agar Mere Sourat
Duwa Hai Tumhen Mai Nazar Hi Na Aaon

Chala Jaon Ga Mai Tumhari Yaad La Kar
Kahan Piyar Ki Tum Ko Doulat Mila Gee

Tumheian Apna Dill Mai Basya Hai Mai Na 
Khata Hai Ya Mere Ya Hi Juram Mera

Jo Chaha Moubaat Ki Ab Tum Saza Do 
Bhout Mujah Ko Is Mai Bhi Rahat Mila Gee

Gham-e-Zindagi Ka Zehar Pee Kar SHAHID
Woh Jiss Ka Liya Aaj Hum Maar Raha Hain 

Bara Khuff Tha Mere Qurbat Sa Jin Ko
Mere Mout Sa Un Ko Shohrat Mila Gee

Tuesday, 5 April 2011

RUSWA


MUJH KO RUSWA SARE MEHFIL

TO NA KERWAYA KARE

KAASH ANSOO MERI

ANKHON MAI HI REH

JAAYA KARE

AI HAWA MAINE TO BAS

USKA PATA POOCHHA THAA

AB KAHAANI TO NA

HAR BAAT KI BAN

JAAYA KAREY