Wednesday, 30 March 2011

Na Woh Frishta Ho Na Frishton Jaisa Ho

Na Woh Frishta Ho Na Frishton Jaisa Ho
Mujah Talash hai us ki jo mera jaisa Ho

Mera khaloss ko pehchanta Ho Buss kafi Hai
Woh Koi Bhi ho Khain Bhi Ho Kasia Bhi Ho

Mere Mohabbat Ko pehchan saka wo aisa Ho
Mere khatir marna ka hosla bhi rakhata Ho

Agar kabhi Rooth jaon Main Us Sa  Tou!!
Muskra kar Manya Woh Aisa Ho!!!!!!!

Jo Baat Kara Wo Nibha Bhi saka
Iradon mai apni woh chitano Jaisa Ho

Dukhoon Mai Hasna Ka hunar Bhi Janta Ho
Aik Aisa Humsafar Jo Sumandar Ki tarah Gehra Ho

Us ka Payar ki Thandak Ho mera Liya Aise
Keh Woh tou Bilkul Asmaan Ka chand jaisa Ho!!

Monday, 28 March 2011

Barishoon k mosam main


Barishoon k mosam main.
Dil ki sarzaminoo per
Gard kioon bikharti hai.?
Is tarha k mosam main
phool kioon nahi khiltay.
log kioon nahi miltay?
kioon faqat yeh tanhai.
sath sath rehti hai.?
Itni tez barish se
Dil k ayenay per se
Aks kioon nahi dhultay?
Zakham kioon nahi siltay ?
Neend kioon nahi aati.?
Barishoon k mosam main
Aankh kioon barasti hai.?
Ashk kioon nahi thamtay?

Barishoon k mosmoon main
Log kioon nahi miltay.?

Aye Roop Nagar Ki Shehzaadi


Aye Roop Nagar Ki Shehzaadi, 
Thodi Si Inayat Ho Jaye, 
Ek Roz Agar Tum Chupke Se, 
Meri Aankhon Ko Sairaab Karo, 
Bechain Mera Dil Rehta Hai, 
Kuch Aur Ise Betaab Karo, 
Is Talkh Haqeeqat Sehra Ko, 
Ek Meetha Sundar Khwab Karo, 
Ek Roz Meherbaan Ho Jao, 
Mere Dilke Nigehbaan Ho Jao, 
Is Tapti Dhoop Ki Sakhti Mein,
Ek Shaam Ki Chhanv Mil Jaye, 
Murjha Se Gaye Hai Din Mere, 
Ek Shaam To Meri Khil Jaye, 
Aur Shayad Mere Honthon Se, 
Har Zakhm Tera Bhi Sil Jaye, 
Hum Qais Nahi Farhad Nahi, 
Par Phir Bhi Kahin Aabad Nahi, 
Shayad Ye Karishma Ho Jaye, 
Tumhe Humse Mohabbat Ho Jaye, 
Aye Roop Nagar Ki Shehzadi, 
Thodi Si Inayat Ho Jaye...!!!!

Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum,

Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum,
Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum,

Na koi rishta hay tum se na koi talluk,
phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum,

Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se,
Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum,

Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay,
Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum.

Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki,
Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum.

Kaisay kahon k apna bana lo mujhey

Kaisay kahon k apna bana lo mujhey,
Bahoun main apni sama lo mujhey,

Bin tumharay ek pal bhi kat-ta nahin,
Tum aa ker mujh se chura lo mujhey,

Zindagi to wo hai sang tumharay jo guzray,
Duniya k ghamoun se ab chura lo mujhey,

Mere sab se gehri Khuwahish ho puri,
Tum agar pas apnay bula lo mujhey,

Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai,
Tumhara hon main tu phir sanbhalo mujhey,

Najanay phir kaisay guzray gi Zindagani,
Agar apnay dil se kabhi tum nikalo mujhey.

jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta

jane kiun woh sansoo ki dor totne nahi deta
bas qadam aur chalne ka wasta dekar mujhe rokne nahi deta

bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki
ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta

ajj hosla deta hai mujhe chand sitaron ko cho lene ka
woh piar se chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta

shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai
jane kiun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta

mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina
main zinda hon ab tak woh mujhe marne nahi deta

Aankhon se mere is liye lali nahi jati


Aankhon se mere is liye lali nahi jati
yadon se koi raat jo khali nahi jati

ab umer na mausam na wo raste ke wo palte
is dil ki magar kham khiali nahi jati

mange tu agar jaan bhi hans ke thujhe de dein
teri too koi baat bhi tali nahi jati

aye koi aa ker ye tere dard sanbhale
hum se to ye jageer sanbhali nahi jati

malum hamein bhi hein boht se tere qisye
per baat teri hum se uchali nahi jati

har sham tere phool khilati thi jo dil mein
ab sham wohi dard se khali nahi jati

hum jaan se jain ge tabhi baat bane gi
tum se too koi rah nikali nahi jati

Jo Rishtey Dil Say Jurrtey Hain Inhein Torra Nahin Kartey


Jo Rishtey Dil Say Jurrtey Hain Inhein Torra Nahin Kartey
Kisi Ka Saath Rastey Mein Kabhi Chorra Nahin Kartey

Kahin Iss Say Tumharey Haath Hi Zakhmi Na Ho Jayein 
Jo Tootey Aaina To Phir Issey Jorra Nahin Kartey

Koi Tofaan Teri Kishti Ko Garq-e-Aab Na Kar Dey
Kabhi Biphri Huyi Mojon Ka Rukh Morra Nahin Kartey

Tijarat Ke Asoolon Par Mohabbat Ki Nahin Jaati
Mohabbat Mein Kabhi Jazbaat Ka Soda Nahin Kartey

Sitam Karna Mohabbat Par, Ye Hai Aadat Zamaney Ki
Zamaney Ke Sitam Par Hum Ye Dil Thorra Nahin Kartey

Mohabbat Ke Asoolon Mein Yehi Pehla Asool Apna
Ke Hum Apni Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Kartey …!

Mukammal do hi daano per ye Tasbeeh-e-mohabat hai


Mukammal do hi daano per ye Tasbeeh-e-mohabat hai,
Jo aye teesra dana ye dori toot jati hai.

Muqarar waqt hota hai Mohabbat ki namazon ka,
Adaa jin ki nikal jaye qaza bhi chhoot jati hai..

Mohabbat ki namaazon mein Imamat aik ko sonpo. .
Issey takney, usey takney se niyyat toot jati hai.

Mohabbat dil ka sajda hai jo hai Toheed per qaayem..
Nazar k shirk waalon se Mohabbat rooth jaati hai..