Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Tuesday, 3 May 2011

Sham k waqt!!!!

Kisi roz sham k waqt,
Suraj k aram k waqt,
Mil jaye sath tera,
Hath mein le k hath tera,
Door kahin tanhai mein,
Dunia se judai mein,
Apne sang bithaon tuje,
Dil ka haal sunaon tuje,
Teri izzat ihteram karoon,
Tere hath ki lakeeron mein,
Talash apna naam kron,
Aao ik irada kren,
Phir milne ka wada kren,
kisi roz sham k waqt .
Suraj k aram k waqt.

Usse apne farda ki fikar thi!!!!!!!!!!!!

Usse apne farda ki fikar thi,
wo jo mera waqif.e.haal tha

wo jo uski subha urooj thi,
wohi mera waqat.e.zaval tha

mera dard kese wo janta,
meri baat kese wo manta

wo to khud fana k safar mai tha,
usse rokna b mahal tha

wo jo uss k samne aa gaya,
wohi roshni mai naha gaya

ajab uski hebat.e.husn thi,
ajab uska rang.e.jamal tha

dam.e.wapsi usse kya hua,
na wo roshni,na wo taazgi

wo sitara kese bikhar gaya,
wo to ap apni misaal tha

kahan jaoge mjhe chor kar,
mai ye puch puch kar thak gaya

wo jawab mjhko na de saka,
wo to khud sarapa sawal tha

wo mila to sadiyo'n k bad b,
mere lab pe koi gila na tha

usse meri chup ne rula dia,
jisse guftagu mai kamal tha

wo jo mjhse mil k tha ro dia,
faqat itna hi mjhse keh saka

jisse janta tha mai zindagi mai,
wo to sirf weham.o.khayal tha

Ik taaza hikayat hai ....sun lo inayat hai!!!!

ik taaza hikayat hai ....sun lo inayat hai

ik shakhs ko dekha tha....taaroon ki tarah humne
ik shakhs ko chaha tha.....apnoon ki tarah humne
ik shakhs ko samjha tha....pholoon ki tarah humne

who shakhs qayamat tha .....kiya uss ki karain batain
din uss ka liye paida......our uss ki hi thii ratain
kum milna kisi say tha.....hum say thi mulaqatain

rung uss ka shahabii tha.....zulfoon main thi mehkarain
aankhain thi ke jadoo tha....pulkain thi ka talwarain
dushman be ager dakhain..... so jaan say dil harain

kuch tum say who milta tha...batoon main shabahat thi
haan tum sa hi lagta tha.....shoukhii main shararat thi
lagta bhi tum sa hi tha ......dastur'e mohabbat main

who shakhs humhain ikk din.....apnoon ki tarah bhoola
taaron ki tarah dooba .....pholoon ki tarah toota
phir haath na aaya woh......hum ne tu boht dhoonda

tum kiss liye choonkay ho...... kub ziker TUMHARA hey
kub tum say taqaza hey.....kub tum say shikayat hey
ikk taaza hikayat hey....sun lo tu inaayat hey

Shehr-e-fana hoon!!!!

Shehr-e-fana hoon tere kis kaam ka?

Ik bujhta sa diay hoon tere kis kaam ka?

Tu rafaqat k liye or kisi ko chun le...

Main to khud se haara howa hoon tere kis kaam ka?

Tujhko darkaar hain phooloun ke mehktay saaye...

Main to sehra main khara hoon tere kis kaam ka?

Tu bhi auron ki tarah mujhse kinaara kar le...

Saari duniya se bura hoon tere kis kaam ka?

Monday, 2 May 2011

Ye kitabon k qissy, fasano ki baten

Ye kitabon k qissy, fasano ki baten,
Nigahon ki jhilmil, judai ki raten,

Muhabbat ki qasmen nibhane k wady,
Ye dhoka wafa ka, ye jhooty iraady,

Ye baten kitabi ye nazmen purani,
Na inki haqiqat na inki kahani

Na likhna inhen na hi mehfoz karna,
Ye jazby hain bas inko mehsos karna…

Friday, 29 April 2011

Sirf ik baar nazron se nazren milen

Sabko maloom hai main sharabi nahin
Phir bhi koi pilaye to main kya karoon

Sirf ik baar nazron se nazren milen
Aur kasam toot jaye to main kya karoon

Mujho maikash samajhte hain sub badakash
Kyunki unki tarah ladkadhata hoon main

Meri rag rag mein nasha mohabbat ka hai
Jo samajh mein na aaye to main kya karoon

Haal sunkar mera sehme sehme hain vo
Koi aaya hai zulfen bikhere hue

Maut aur zindagi dono hairaan hain
Dum nikelne na paaye to main kya karoon

Kaisi lat, kaisi chahat, kahan ki khata
Bekhudi mein hai Anwar khudi ka nasah

Zindagi ek nashe ke siva kuch nahin
Tumko peena na aaye to main kya karoon

Ek haseen khwaab

Kal raat ek haseen khwaab maine dekha
zindagi aur maut ko apne samne dekha,
Zindagi ne kha mai haseen hoon
aur maut ne kha mai nazneen hoon,
ke jau mai kiske paas
khud ko ajeeb ronak-e-mehfil mai dekha,

Kya ajeeb ittefaak tha
preshani mai Dil-e-khaak tha,
Samaj na saka mai kuch
k Dil ko verani si hasrat mai dekha,
Kal raat ek haseen khwaab maine dekha
Zindagi aur maut ko apne samne dekha

Zindagi ek unsulji pehali,toh maut ek ruthi sehali lagi,
pehali ko bhi suljane,Toh sehali ko bhi manane mann karta hai,
Kasmekas mai dimag tha ki
Khud ko ek bhulbhuliya mai ghirte dekha,
Kal raat ek haseen khwaab maine dekha
Zindagi aur maut ko apne samne dekha

Zindagi ne kha gale laga le ,aur maut ne kha aaghos mai bhar le,
Socha Zindagi kahin ghutan aur maut kahin chubann na ban jaye
Ajeeb bechanni mai tha Dil ki ,,
Khud ko bheed mai bhi tanha dekha,,
Kal raat ek haseen khwaab maine dekha
Zindagi aur maut ko apne samne dekha

Aage kya kahu  Dost phir neend khul gai meri,.,.
Aur Khud ko maine , Zindagi ki gehraiyo mai dekha ,.,.,
Haan ! kal raat ek haseen khwaab maine dekha
Zindagi aur maut ko apne rubaru dekha ,.,.,.

Maut Ki God Me Main Sota Raha

Gamon Ka Bojh Main Dhota Raha,
Raat Bhar Bas Yunhi Rota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Na Kabhi Aayi Khushi Ki Bahar,
Na Mila Mujhe Mera Wo Pyar.
Apne Daaman Ko Sukha-Sukha Ke,
Aansuon Se Use Bhigota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Dard Bhi Ab Mera Deewana Hai,
Apna To Bas Gamn Ka KhaZana Hai.
Main To Hoon Bas Wo “ghayal”,
Jo Khud Ko Kaante Chubhota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Tujhse Jo Hui Meri Judaai,
Zakhmon Se Kar Li Maine Sagai.
Jab Aaye Tu Yaad,Khud Ko Main,
Lahoo Ke Sharab Me Dubota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Teri Yaad Se Khud Ko Sajaya Hai,
Zakhm Bana Ka Unhe Khud Ko Jalaya Hai.
Apne Ishq Ko Namak Bana,
Un Zakhmon Pe Main Sada Bota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Badhta Raha Main Safar Dar Safar,
Barpa Mujhe Par Bas Sirf Kahar.
Lakh Marham Lagaye Maine,
Par Dard Beshumaar Yunhi Hota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Mujhe Dekh,Aaj Khuda Ne Ask Baha Diye,
Kaha,Aur Kya Dun,Sare Gum Tujhe Suna Diye.
Jitni Kosish Ki Tujhe Bhulane Ki,
Utna Hi Tujhme Main Khota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Jeevan Me Chaya Sirf Andhera Raha,
Na Main Tera Raha,Na Tu Mera Raha.
Raat Bhar,Ek-Duje Ko Yaad Kar Ka,
Tu Bhi Rota Raha,Main Bhi Rota Raha.
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.

Suno aay chand c larki

Suno aay chand c larki
Abhi tum titliyaan pakro

Ya phir Guriyon sy khelo tum
Ya phr masoom c Aankhon sy
dheron khwab daikho tum

Faraz-o-Faiz-o-Mohsin,
ki kitaben mat abhi prhna
Ye sb lafzon k sahir hein.

Tumhein uljha k rakh dein gy
Tumhein Maloom he kab hai

Mohabat k libady mein..
Hawas aur Hirs hoti hai

Ye insanon ki dunya hai.
Magr in sy kaheen barh kr
yahan wehshi drinday hein`

Wo wehshi jin ki Aankhon me
Machalty piyar k peechy.

Hawas aur Hirs hoti hai`
Abhi kachi kalii ho tum

Abhi kaanton sy mat khelo
Abhi apni Hatheli par

Kisi ka Naam mat likho
Abhi apni kitabon mein

gulaabi phool mat rako
Abhi Sheron Main Mat Oljho

Abhi to Omr Baki Hay
Abhi Khud Ko Smbhalo tum

Abhi mat Gungunao Tum
Abi Sy Ishq Mat Socho

Abi Sub Bhool jao tum...
Suno A Chaand Si larki

Ghazlon me tere pyaar kar Charcha na karen gay

Ghazlon me tere pyaar kar Charcha na karen gay
Hum tujh ko sar-e-aam yun ruswa na karen gay

Q hum pe uthein sang-e-mlamat ki faseelen
Behtar he tere sheher me aya na karen gay

Ye Chand , ye Tarey, ye haseen raat ka alam
Mansoob tere naam se kia na karen gay

Weeran hue Qasr-e-tmanna k dareeche
Aabad kabhi pyar ki dunya na karein gay

har cheez ki bahutat me nuqsan bohat hai
Shiddat se kisi shaks ko chaha na karein gay...

Sardiyon ki shamein

Sardiyon ki shamein bhi kia ajab shamein hain,
Log yaad atay hain aag si lagaty hain,

Dil k her ik koney main zindgi k manzer main,
Doob k ubherty hain ik dafa jo bichary thy,

Roz roz milty hain or mairi ankhon ko,
De k kuch naye motti phir se lot jaty hain,

Phir hum akailey main aansuon k railey main,
Sardiyon ki thandak main tanha apny shaney pe,

Apni shaal sambhaly ghar ko lot atay hain,
Sardiyon ki shamein Bhi kia ajab shamein hain.

Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum

Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum,
Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum,

Na koi rishta hay tum se na koi talluk,
phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum,

Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se,
Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum,

Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay,
Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum.

Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki,
Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum.

Kaisay kahon k apna bana lo mujhey

Kaisay kahon k apna bana lo mujhey,
Bahoun main apni sama lo mujhey,

Bin tumharay ek pal bhi kat-ta nahin,
Tum aa ker mujh se chura lo mujhey,

Zindagi to wo hai sang tumharay jo guzray,
Duniya k ghamoun se ab chura lo mujhey,

Mere sab se gehri Khuwahish ho puri,
Tum agar pas apnay bula lo mujhey,

Yeh kaisa nasha hai jo behka raha hai,
Tumhara hon main tu phir sanbhalo mujhey,

Najanay phir kaisay guzray gi Zindagani,
Agar apnay dil se kabhi tum nikalo mujhey.

Friday, 15 April 2011

Koi Chupka Chupka Kehta Hai

Koi Chupka Chupka Kehta Hai

Koi Geet Likho Mere Aankhon Per

Koi Shair Kaho Mera Lafzoon Per

In Khushboo Jaise Baton Per

Chup Chap Mai Sunta Rehta Hon

Pher Un JHeel Si Gheeri Aankhon Per

Aik Taza Ghazal Likh Deata Hon

Un Phool see Jaise Baton Per

Aik Shair Naya keh Deata Hon

Ya Geet Ghazal Yeh Shair Mera

Sab Us ka Payar ka Darpan Hain

Sab Us ka Roop Ka Darshan Hain

Sab us ki Aankh Ka Kajal Hai

Tanha Mujha Karta Hai Aur Mehfil Bhi Sajata Hai

Tanha Mujha Karta Hai Aur Mehfil Bhi Sajata Hai
Duniya Sa Alag Kar Ka Aik Duniya Basata Hai

Hai Dill Mai Nehan Lekin Aankhoon Sa Ayaan Ho Kar
Woh  Apna Pata Sari Duniya Ko Batata Hai

Dill Mera Duhknana Ka Pocho Na sabab Kia Hai
Mai Yaad Rakhon Us Ko Ya Yaad Dilata Hai

Bondon ki Usa Rim Jhim Is Darjha Lubhati Hai
Ruk Jaye Agar Barish Wo Mujh KO Rulata Hai

Kia Pochta Ho Us Sa Barbaad Howa Kiyn kar
Apnon Ka Diya Dukh Hain Khud Sa Bhi Chupata Hai

Mjhe ab b Mohabat hai.....!!!!!!!!!

Mjhe ab b Mohabat hai..
tere qadmon ki AAHAT se,

teri hr MUSKRAHAT se,
teri baton ki KHUSHBU se,

teri aankhon k JAADU se,
teri Dilkash ADAAON se,

teri qatil JAFAON se,
Mujhe ab b MOHABAT hai..

teri RAAHON men rukne se,
teri PALKON k jhukne se,

sehr-o-shaam hathon pe,
tera hi NAAM likhne se,

tere TESH o ADAWAT se,
teri be-jaa SHIKAYAT se,

yahan tak k SANAM mere.!
teri har ek AADAT se,

MUJHE AB BHI MOHABAT HAI..

Hawa Jab geet gati hai Mere AAnsu Nahn Rukte!!!!

Hawa Jab geet gati hai Mere AAnsu Nahn Rukte
Tumhari Jab yaad AAti hai Mere aansu NaHn Rukte

Main khush hota hun paani main baha ker kaghazi kashti
Magar jab doob jati hai mere aansu nahn rukte

Main din bhar khauf rswai ka kitna zabt kerta hun
Magar jab raat chati hai mere aansu nahn rukte.

Kabhi jab sard shamun main mere kamre ki tanhai
Tumhain wapas bulati hai mere aansu nahn rukte…

Kash main keh sakoon kabhi tum se!!!!!

Kash main keh sakoon kabhi tum se
Dil ki har bat ankahi tum se

Kash main keh sakoon kabhi ye bhi
bari mushkil hai dil lagi tum se

Kash ke main keh sakoon ke tum kya ho
Hai mere dil main chandni tum se

Kash main keh sakoon kabhi ke mujhe
Baat karni hai zaroori tum se

Kash ke ye bhi kabhi pooch sakoon
kaise hoti hai berukhi tum se

Kash wo waqt bhi ajaye ke ho
meri duniya main roshni tum se

Kash ye raz keh sakoon main kabhi
Hai Roshan meri shairi tum se

Kash lafzon main kabhi keh paoon
Mil ke hoti hai jo khushi tum se

Kash ye umr yoon guzar jaye
meri yadain rahain saji tum se

Suno tum lout aao na!!!!!!!!!!

Suno tum lout aao na
tumahri yaad aati hai

koi benaam sa ik durd
in aankhon ko rulaye to

ye dil jab bhi dharakta hai
tumhara naam leta hai

Sunoo … tumm lout aao na
Muhabbat ka koi Naghma

hawain jab bhi gaati hain
tumhain waaps bulati hain

ye dhalti shaam apne sung
udaasi gher laye to

muhabbt ka fasoon or tumhari yad ka mousam
mujhe bohat rulati hain

suno wapis palat aao
tumhain itna batana hai

tumhari yaad aati hai
Sunnooo tum lout aao na

Zara Khamosh Reh Kar Bhi Unhain Sab Kuch Bata Dena!!!!!!!

Zara Khamosh Reh Kar Bhi Unhain Sab Kuch Bata Dena
Zuban Se Kuch Na Kehna Dekh Kar Anson Baha Dena

Main Mujrim Ho Mujhe Iaqrar Hai Jurm-E-Muhabbat Ka
Magar Pehle Khata Par Ghor Karlo Phir Saza Dena

Ijazat Ho To Keh Doon Qissa-E-Ulfat Sar-E-Mehfil
Mujhe Kuch To Fasana Yad Hai Kuch Tum Suna Dena

Zara Khamosh Reh Kar Bhi Unhain Sab Kuch Bata Dena
Zuban Se Kuch Na Kehna Dekh Kar Anson Baha Dena