Tuesday, 3 May 2011

Sham k waqt!!!!

Kisi roz sham k waqt,
Suraj k aram k waqt,
Mil jaye sath tera,
Hath mein le k hath tera,
Door kahin tanhai mein,
Dunia se judai mein,
Apne sang bithaon tuje,
Dil ka haal sunaon tuje,
Teri izzat ihteram karoon,
Tere hath ki lakeeron mein,
Talash apna naam kron,
Aao ik irada kren,
Phir milne ka wada kren,
kisi roz sham k waqt .
Suraj k aram k waqt.

Usse apne farda ki fikar thi!!!!!!!!!!!!

Usse apne farda ki fikar thi,
wo jo mera waqif.e.haal tha

wo jo uski subha urooj thi,
wohi mera waqat.e.zaval tha

mera dard kese wo janta,
meri baat kese wo manta

wo to khud fana k safar mai tha,
usse rokna b mahal tha

wo jo uss k samne aa gaya,
wohi roshni mai naha gaya

ajab uski hebat.e.husn thi,
ajab uska rang.e.jamal tha

dam.e.wapsi usse kya hua,
na wo roshni,na wo taazgi

wo sitara kese bikhar gaya,
wo to ap apni misaal tha

kahan jaoge mjhe chor kar,
mai ye puch puch kar thak gaya

wo jawab mjhko na de saka,
wo to khud sarapa sawal tha

wo mila to sadiyo'n k bad b,
mere lab pe koi gila na tha

usse meri chup ne rula dia,
jisse guftagu mai kamal tha

wo jo mjhse mil k tha ro dia,
faqat itna hi mjhse keh saka

jisse janta tha mai zindagi mai,
wo to sirf weham.o.khayal tha

Ik taaza hikayat hai ....sun lo inayat hai!!!!

ik taaza hikayat hai ....sun lo inayat hai

ik shakhs ko dekha tha....taaroon ki tarah humne
ik shakhs ko chaha tha.....apnoon ki tarah humne
ik shakhs ko samjha tha....pholoon ki tarah humne

who shakhs qayamat tha .....kiya uss ki karain batain
din uss ka liye paida......our uss ki hi thii ratain
kum milna kisi say tha.....hum say thi mulaqatain

rung uss ka shahabii tha.....zulfoon main thi mehkarain
aankhain thi ke jadoo tha....pulkain thi ka talwarain
dushman be ager dakhain..... so jaan say dil harain

kuch tum say who milta tha...batoon main shabahat thi
haan tum sa hi lagta tha.....shoukhii main shararat thi
lagta bhi tum sa hi tha ......dastur'e mohabbat main

who shakhs humhain ikk din.....apnoon ki tarah bhoola
taaron ki tarah dooba .....pholoon ki tarah toota
phir haath na aaya woh......hum ne tu boht dhoonda

tum kiss liye choonkay ho...... kub ziker TUMHARA hey
kub tum say taqaza hey.....kub tum say shikayat hey
ikk taaza hikayat hey....sun lo tu inaayat hey

Shehr-e-fana hoon!!!!

Shehr-e-fana hoon tere kis kaam ka?

Ik bujhta sa diay hoon tere kis kaam ka?

Tu rafaqat k liye or kisi ko chun le...

Main to khud se haara howa hoon tere kis kaam ka?

Tujhko darkaar hain phooloun ke mehktay saaye...

Main to sehra main khara hoon tere kis kaam ka?

Tu bhi auron ki tarah mujhse kinaara kar le...

Saari duniya se bura hoon tere kis kaam ka?

Monday, 2 May 2011

Ye kitabon k qissy, fasano ki baten

Ye kitabon k qissy, fasano ki baten,
Nigahon ki jhilmil, judai ki raten,

Muhabbat ki qasmen nibhane k wady,
Ye dhoka wafa ka, ye jhooty iraady,

Ye baten kitabi ye nazmen purani,
Na inki haqiqat na inki kahani

Na likhna inhen na hi mehfoz karna,
Ye jazby hain bas inko mehsos karna…